Monday 8 July 2013

Hindi ki baat hi kuch aur hai !

For me 'lyrics' has always been the soul of any song. A song with bad lyrics is a waste however good the music may be. This love towards words and expression through them was fertilized when I met a great writer cum poet cum director Saurabh Pandey sir in my college. Listening and understanding to all that he wrote was something that gave me a potency to try and write in Hindi.I believe in what a famous Boyzone song says "Words and words are all I have to take your heart away".
What I am posting today is however a small poetic fray that happened while we were just texting one day. Obviously I was a fool to even try to match up to his level but then I just tried. This is what was the outcome :

Saurabh sir-
Is hansi ko khushi ki inaayat na samjho
muskuraate hain hum gam chupane ke liye
Mere jeene ka koi maqsad nahi hai
bas zinda hain khud ko bhulaane ke liye

Me-
Aane do ujaale ko har suraakh se bheetar
aisa na ho andhere me rehne ek adat ban jaaye
Bina maskad ki zindagi jise kehte ho tum
kya pta kisi ki zindagi ka maqsad ban jaaye

Saurabh sir-
Dar andhero se nahi ujaalo se lagta hai
kyunki ujaalo me taare gumnaam hote hain
maqsad kya dega koi jine ke khaatir
har rishte zamane me ek din badnaam hote hain

Me-
Saari raat laakho taare rehte hain falak par
par ek sooraj ke aane se hi subah hoti hai
Badnaam hone ka darr kahan raha hai hume
Bheed me ek chehra dhundh lene ki chahat bevajah hoti hai

Saurabh sir-
Bewajah bheed me dhundhte ho chehra
shayad khud ki nigaho pe aitbaar nahi hai
aakhir kyun talash hai subah ki tumhe
jabki mehtaab sa aaftab me khumaar nahi hai

Me-
Agar aaina dekh ke gumaan karne ko jeena kehte
toh kyun kisi ki aankhon me padhne pe aitbaar hota
agar itni hi khoobsurat aur poori har raat hoti
toh kyun har phool ko khilne ke liye subah ka intezaar hota

Well this went nowhere and we just ended.

#PS : this post is dedicated to saurabh sir !! :)